Namasthe doston,

Kaise hain aap sab. Main ek baar phir se app sabhi ka apne blog me swagat karta hun. Aur sabse pehle app sabhi ko Deepawali ki hardik shubhkamnayein. Jaisa ki is article ke title se bhi pata chal raha haur aur jaisa ki main aako apne is blog ke baare mein apne pehle hi bata chuka hu, yeh ek eisa question hai jo shuru se hi computer science and technology aur computer programming mein diploma aur UG/PG level ke professional courses karne wale jyadatar students se lekar un sabhi logon ke liye jo programming sikhna chahte hein, un logon ke liye prarambh mein ek aham muddha ban jaata hai, aur woh apne matlab ki programming language ka selection karne mein kaphi confuse ho jaate hai. Woh is field se jude logon aur anya logon se bhi ise lekar shujhav mangte hein, aur woh log bhi inhe tarah-tarah ke sujhav dete hai ki tum yeh programming sikho, yeh tumhare liye acche rahegi, wo language sikho. Is vishya ko lekar kaphi mat samne aate hein. Sabhi log apne-apne vicharon aur anubhavon ke aadahar par apne vichar prakat karte hein.

Aaj main bhi is vishya par apne vichar aur programming ko lekar apne anubhav share karna chahta hun. Main yahan par yeh baat bhi saaf kar dena chahta hun ki yeh keval mere vichar aur programming se jude mere anubhav hein. Is vishya ko lekar aapke ya kisi anya vyakti ke apne vichar, apne mat aur apne alag anhubhav ho sakte hein. Yahan mera uddeshya kisi vyakti vishesh ki bhavnaon aur unke anubhavaon ko thes pahuna nahin hai aur na hi unki aalochana karna hai. Parantu, phir bhi mere kisi vichar ya baat se ki ko bura lagta, toh main unka shama prarthi hun. Toh aaiye lekh shuru kate hein..

Jab hum programming language sikhne ki shurat karte hein, toh hum main se jyadatar logon ke mind mein sabse pehle yeh hi question uthta hai ki, “Mujhe kon si programming language pehle sikhni chahiye?” Parantu, yeh question un logon ke liye jyada mahattav ka nahin hai, jo Science and Technology aur Computer Programming se sambhandhit diploma course ya professional UG/PG course kar rahe hein, kyunki yeh to unke syllabus ka hissa hai, jab jis semester mein jo bhi subject aayega, unhe usi ke according padhayi karni hogi. Parantu, yeh topic un sabhi ke liye kaphi mahattavpurn ho jaata hai, jo log programming sikhne me dilchaspi rakhte hein aur self study ke dwara programming sikhna chahte hein.

Aaj se 9-10 varshon pehle jab mene programming sikhne ki shurat ki thi, tab mere mind mein bhi sabse pehle yahi baat uthi thi ki, “Main kon si programming language ko pehle sikhun?” Aur iske liye mene apne doston , apne kuch parivari jano, jo programming ke chetra mein anubhav rakhte the aur kuch anya logon se is topic par uncke vichar aur shujhav bhi liye. Mene apne teachers se bhi is topic par unke vichar jaane.

Unme se sabhi ke is topic ko lekar apne-apne mat aur shujhav the. Sabhi ne mujhe apne shujhav diye. Kuch ne toh mujhe apne shujhavon ke saath-saath mujhe margdarshan bhi diya aur mre is nirnay ke liye mukhe protsahit bhi kiya. Kuch ne mujhse kaha ki mujhe pehle scripting languages ko sikhna chahiye, kyunki yeh apne syntak mein easy hoti hein aur tumhe programming ki basic knowladge bhi mil jayegi. Toh wahin, programming se jude kuch anya logon ne mujhe pehle C aur C++ sikhne ka shujhav diya. Toh kuch ne mujhe Java programming language se sikhne ki shuraat karne ki baat kahi. Par in sabhi sujhavaon mein se jo common shujhav nikalkar samne aaya, wo tha ki mujhe pehle C language sikhni chahiye, kyunki adhiktar logon ka yeh manna tha ki C programming language sabhi programming languages ka base hai, agar mene C language sikh li, toh aage ki koi bhi programming language sikhne mein mujhe koi pareshani nahin hogi.

Yeh shujhav pakar main C language sikhne laga. Parantu kahin na kahin mere mind mein ek baat abhi bhi chal rahi thi ki, “Kya C language sikh lene se mujhe dusri language ko sikhte samay unke syntax ko samajhne mein jyada mehnat nahin karni padegi? Kya unke basic concepts ko samajhne mein adhik samay nahin dena hoga?” Parantu kafi samay dene ke baad bhi mujhe C language mein looping ke aage ke concepts samaj mein nahin aa pa rahe the aur mujhe yeh baat swikar karne mein koi pareshani nahi hai. Parantu apni kami swikarne mein humme se kuch logon ka ego heart ho jaata hai, parantu main aisa nahin sochta hun.

Aaj se kuch saal pehle tak learning ke itne adhik options nahin huya karte the, hum log us samay apni jyadatar padhayi books ko padhkar hi kiya karte the aur jab kabhi bhi padhayi mein internet ki help chahiye hoti thi, toh apni problems ki list banakar cyber cafe par jaana padhta tha. Parantu vartman mein internet or technology ne itni tarakki kar li hai ki aaj har chentra se sambandhit intni badi sankhaya mein information uplabdh hai ki bas ek click bhar se aapko aapke chetra se sambandhit information mil jaati hai. Aaj internet par kayi sari websites aur YouTube jaise kayi sare platform uplabdh hein, jahan par hum apne chetra se sambandhit jyan prapt kar sakte hein. Bas jarurat hai, toh apne subject ke according sahi platform chunne ki.

Kayi baar aisa hota hai ki hum log internet, youtube, aadi par padhne ke liye jaate hein aur jaise hi youtube ko kholte hein, toh wahan par milne wali different-different videos par click kar-karke unhe dekhne lag jaate hein aur humara main target kahin peeche hi chut jaata hai. Hume chahiye ki hum log is aadat ko badalne ki koshish karein aur apni padhayi par dhayan lagayein. Hum is baat ka dhayan rakhna hoga ki agar hum youtube par jayenge, toh sirf wahi videos dekhenge, jo humari padhayi se sambandhit ho. Internet par unhi websites ko dekhenge, jo humari padhayi ke liye sahi ho.

Maine C language ko sikhna varsh 2007 mein shuru kiya tha. Is samay mere samne kayi baar aisi situations aayi ki mujhe laga ki mujhe C programming ko sikhna band karna pad jayega. Isi varsh meri shiksha mein ek varsh ka break aa gaya, yahi woh time tha, jab mene jaana ki mera interest kis subject hai. Yahi wo time tha jab mujhe do karyon mein bahut maza aane laga. Pehla computer sikhna aur thodi-bahut C programming bhi aur dusra hindi/english sahitya padhna or various subjects par kikhna. Main bas computer par baith jaata tha aur uske saath tarah-tarah ke experiments karta rehta tha, ki aisa karne se kya hoga? Vaisa karne se kya hoga?

Ek varsh baad 2008 mein meri shiksha punah prarambh huyi. Mein varsha 2011 mein B.A. Arts puri ki. Aur iske baad mein computer programming ki padhayi ke saath-saath government jobs ki bhi taiyari karna prarambh kar diya. Time gujarta gya aur main nayi-nayi technology sikhta gya. Varsh 2017 mein mene NIELIT, New Delhi se O level ka diploma pura kiya. Isi diploma course ke dauran mujhe ek aise teacher mile, jihone C programming ko lekar mere doubts clear kiye aur C programming par meri pakadh aur maajboot ho gayi. Darasal sach kahun toh O level ke doran C ke pehle session mein intna competition ka mahol nahin tha. Main kisi ki bhavnaon ko heart nahin karna chahta hun, par aisa mene us samay mahasus kiya tha. Parantu C ke dusre session mein jab mera chota bhai bhi mere saath C ki classes lene laga, tab ek competition ka mahol ban gaya tha. Ek aur baat chahe kisi bhi programming language mein kitna bhi accha kyun na hun, but C programming mere se bhi jyada pakadh mere chote bhai ki hai.

Aap sab soch rahe honge ki yeh sab batein main aapko kyun bata raha hun? Yeh sab main aapko isiliye bata raha hun ki, chahe aapke samne kitni bhi pareshaniyan ya dikkatein kyun na aa jayein, chahe koi aapse kuch bhi kehta rahe, but aapka jo target hai, aap uspar puri lagan ke saath tab tak lage rahein, jab tak woh kaam pura nahin ho jaaye. Bas hume yeh dhayan rakhne ki jarurat hai ki us kaam se kuch nuksan na ho raha ho aur jo aage chalkar aake kaam bhi aa sake.

O leval ke course ke doran hi meri ek vyakti se mulakat huyi. Mujhe uska naam toh yaad nahin hai, parantu uski woh baat hamesha yaad rahegi. Woh banda bhi ek computer programmer tha, toh mene usse bhi aise hi puch liya ki, “bhai ek baat bataiye ki hume beginner leval par kon si programming language ke sath shuruat karni chahiye, jab hume usse pehle koi programming language nahi aati ho?” Toh usne mere is question ke answer mein mujhse kaha ki, “Shuruat mein aap kisi bhi language ke saath sikhna shuru kar sakte ho. Aisa koi jaruri nahin hai hi aapko kisi particular language ko hi sikhna chahiye. Aapko jo bhi programming language acchi lage, aap uske saath sikhna chalu kar sakte ho. Bas jarurat hai, toh apna field select karne ki. Au ek baar jab aap apna field select kar lo, toh uske according hi programming language select karke use sikhna chalu kar do.”

Uski is baat se main kafi prabhavit huya aur maine apne field khojna prarambh kar kar diya. Iske liye mene kayi jankar logon se salah li. Iske saath-saath mene apni R&D bhi jaari rakkhi. Aur jald hi mujhe iska answer mil gaya. Mene 2017 main O level pura kiya aur uske baad puri tarah se apne field ke according programming sikhne par apna jor laga diya. Parantu iske saath-saath mene apni aage ki padhayi bhi jaari rakhi. Mene internet aur books ki help se self study karke mene C++ language sikhi, phie Core Java sikhi, GUI app deveploment ke liye Java Swing sikhi. Vartman mein main Master of Arts History second year mein hun aur iske saath-saath main Python programming language aur Go language sikh raha hun aur mera aage ka target Kotlin aur Android programming language sikhne ka hai.

Main aap sab se bhi yahi kehna chahunga ki agar aap programming language sikhne ki shuruat kar rahein hein, toh aap kisi bhi language ke saath sikhne ki shuruat kar sakte hein. Bas apna field select kijiye aur uske according language select karke programming sikhna chalu kar dijiye. Agar aap programming sikhne ki shurat kar rahe hein, toh aap Python programming language ke saath shuruat kar sakte hein, kyunki yeh bahut simple aur easy programming language he, jise aap badi aasani ke saath books aur internet ki help se sikh sakte hein. Aur iske atirikt aap kisi basic scripting language se bhi shuruat kar sakte hein, jase ki HTML & CSS, HTML 5, JavaScript, etc. Parantu aisa nahi hai ki aap keval inhi languages ke saath sikhne ki shuruat kar sakte hein. Yeh toh keval mere vichar hein. Aap jis bhi programming language ke saath sikhne ki shurat karna chahte hein, uske saath kar sakte hein.

Agar aap software development ke field mein jana chahte hein toh aap C, C++, Core Java, Java Advance, Python, JavaScript, Scala, aadi languages ko sikh sakte hein. Agar aap Space Sciene & Technology ke field mein jana chahte hein, toh aap C, C++, Python programming languages ko sikh sakte hein. Aaj ke samay mein Python programming language ka use kayi sare fields mein kiya jaa raha hai, jaise Science & Technology, Space Science & Technologu, Education, Health, etc. International space agency NASA ke dwara bhi Python programming ka use kiya jaa raha hai. Agar aap web development ke field mein jana chahte hein, toh aap Python ke atirikt HTML & CSS, HTML 5, JavaScript, PHP, Ruby, etc jaisi scripting languages ke alava Go language bhi sikh sakte hein. Agar app android development ke field mein jana chahte hein, toh aap Core Java, Java Advance, Kotlin, Android programming jaisi languages sikh sakte hein. Mere khayal se is vishay ki itni hi explanation uchit rahegi. Aasha karta hun ki, aap mein se jo log bhi programming sikh rahe hein ya sikhna shuru karne jaa rahe hein, unhe is question ka answer mil gaya hoga. Isi ke saath aap sabhi ko aapke acche future ke liye hardik shubhkamnayein.

Agar aako mera yeh blog pasand aaya ho, toh please ise like, comment aur subscribe karein. Aur apne un sabhi mitron aur parivari janon ke sath share karein jo programming sikh rahe hein ya sikhna chahte hein. Ek baar fir se aap sabhi ko Deepawali ki hardik shubhkamnayein. Is lekh se mera uddeshya kisi vyakti vishesh ki bhavnaon ko heart karna nahin hai, balki yeh keval mere vichar aur anubhav hein. Agar fir bhi mere is lekh se kisi ki bhavnaon ko thes pahunchi ho ya mere se is lekh ko likhne mein koyi truti reh gayi ho, toh uske liye main shama prarthi hun.

Aapka:
Ankur Saxena